Patta Patta BuTa BuTa Haal Hamara Jaane Hai
patta patta buTa buTa haal hamara jaane hai
jaane na jaane gul hi na jaane bagh to sara jaane hai
lagne na de bas ho to us ke gauhar-e-gosh ko baale tak
us ko falak chashm-mah-o-KHur ki putli ka tara jaane hai
aage us mutakabbir ke hum KHuda KHuda kiya karte hain
kab maujud KHuda ko wo maghrur-e-KHud-ara jaane hai
aashiq sa to sada koi aur na hoga duniya mein
ji ke ziyan ko ishq mein us ke apna wara jaane hai
chaaragari bimari-e-dil ki rasm-e-shahr-e-husn nahin
warna dilbar-e-nadan bhi is dard ka chaara jaane hai
kya hi shikar-farebi par maghrur hai wo sayyaad bacha
tair uDte hawa mein sare apne asara jaane hai
mehr o wafa o lutf-o-inayat ek se waqif in mein nahin
aur to sab kuchh tanz o kinaya ramz o ishaara jaane hai
kya kya fitne sar par us ke lata hai mashuq apna
jis be-dil be-tab-o-tawan ko ishq ka mara jaane hai
raKHnon se diwar-e-chaman ke munh ko le hai chhupa yani
in suraKHon ke Tuk rahne ko sau ka nazara jaane hai
tishna-e-KHun hai apna kitna 'mir' bhi nadan talKHi-kash
dum-dar aab-e-tegh ko us ke aab-e-gawara jaane hai
(1501) Peoples Rate This