Palkon Pe The Para-e-jigar Raat
palkon pe the para-e-jigar raat
hum aankhon mein le gae basar raat
ek din to wafa bhi karte wada
guzri hai umid-war har raat
mukhDe se uThain un ne zulfen
jaana bhi na hum gai kidhar raat
tu pas nahin hua to rote
rah rah gai hai pahar pahar raat
kya din the ki KHun tha jigar mein
ro uThte the baiTh dopahar raat
wan tum to banate hi rahe zulf
aashiq ki bhi yan gai guzar raat
saqi ke jo aane ki KHabar thi
guzri hamein sari be-KHabar raat
kya soz-e-jigar kahun main hamdam
aaya jo suKHan zaban par raat
sohbat ye rahi ki sham-rawi
le sham se ta-dam-e-sahar raat
khulti hai jab aankh shab ko tujh bin
kaTti nahin aati phir nazar raat
din wasl ka yun kaTa kahe tu
kaTi hai judai ki magar raat
kal thi shab-e-wasl ek ada par
us ki gae hote hum tu mar raat
jage the hamare baKHt-e-KHufta
pahuncha tha baham wo apne ghar raat
karne laga pusht-e-chashm-e-nazuk
sote se uTha jo chaunk kar raat
thi subh jo munh ko khol deta
har-chand ki tab thi ek pahar raat
par zulfon mein munh chhapa ke puchha
ab howegi 'mir' kis qadar raat
(452) Peoples Rate This