Nikle Hai Jins-e-husn Kisi Karwan Mein

nikle hai jins-e-husn kisi karwan mein

ye wo nahin mataa ki ho har dukan mein

jata hai ek hujum-e-gham ishq-ji ke sath

hangama le chale hain hum us bhi jahan mein

yarab koi to wasta sar-gashtagi ka hai

yak ishq bhar raha hai tamam aasman mein

hum us se aah soz-e-dil apna na kah sake

the aatish-e-darun se phaphole zaban mein

gham khinchne ko kuchh to tawanai chahiye

siwayyan na dil mein tab na taqat hai jaan mein

ghafil na rahiyo hum se ki hum we nahin rahe

hota hai ab to haal ajab ek aan mein

we din gae ki aatish-e-gham dil mein thi nihan

sozish rahe hai ab to har ek ustuKHwan mein

dil nazr-o-dida-pesh-kash ai bais-e-hayat

sach kah ki ji lage hai tera kis makan mein

khincha na kar tu tegh ki ek din nahin hain hum

zalim qabahaten hain bahut imtihan mein

phaDa hazar ja se gareban-e-sabr-e-'mir'

kya kah gai nasim-e-sahar gul ke kan mein

(484) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nikle Hai Jins-e-husn Kisi Karwan Mein In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Nikle Hai Jins-e-husn Kisi Karwan Mein is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Nikle Hai Jins-e-husn Kisi Karwan Mein for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Nikle Hai Jins-e-husn Kisi Karwan Mein in PDF.