Nikle Hai Chashma Jo Koi Josh-e-zanan Pani Ka
nikle hai chashma jo koi josh-e-zanan pani ka
yaad wo hai wo kaso chashm ki giryani ka
lutf agar ye hai butan sandal peshani ka
husn kya subh ke phir chehra-e-nurani ka
kufr kuchh chahiye islam ki raunaq ke liye
husn zunnar hai tasbih-e-sulaimani ka
darhami haal ki hai sare mere diwan mein
sair kar tu bhi ye majmua pareshani ka
jaan ghabraati hai andoh se tan mein kya kya
tang ahwal hai us yusuf-e-zindani ka
khel laDkon ka samajhte the mohabbat ke tain
hai baDa haif hamein apni bhi nadani ka
wo bhi jaane ki lahu ro ke likha hai maktub
hum ne sar nama kiya kaghaz afshani ka
us ka munh dekh raha hun so wahi dekhun hun
naqsh ka sa hai saman meri bhi hairani ka
but-parasti ko to islam nahin kahte hain
mo'taqid kaun hai 'mir' aisi musalmani ka
(539) Peoples Rate This