Naz-e-chaman Wahi Hai Bulbul Se Go KHizan Hai
naz-e-chaman wahi hai bulbul se go KHizan hai
Tahni jo zard bhi hai so shaKH-e-zafaran hai
gar is chaman mein wo bhi ek hi lab-o-dahan hai
lekin suKHan ka tujh se ghunche ko munh kahan hai
hangam-e-jalwa us ke mushkil hai Thahre rahna
chitwan hai dil ki aafat-e-chashmak bala-e-jaan hai
patthar se toDne ke qabil hai aarsi tu
par kya karen ki pyare munh tera darmiyan hai
bagh-o-bahaar hai wo main kisht-e-zafran hun
jo lutf ek idhar hai to yan bhi ek saman hai
har-chand zabt kariye chhupta hai ishq koi
guzre hai dil pe jo kuchh chehre hi se ayan hai
is fan mein koi be-tah kya ho mera muariz
awwal to main sanad hun phir ye meri zaban hai
aalam mein aab-o-gil ka Thahraw kis tarah ho
gar KHak hai aDe hai war aab hai rawan hai
charcha rahega us ka ta-hashr mai-kashan mein
KHun-rezi ki hamari rangin dastan hai
az-KHwesh rafta us bin rahta hai 'mir' aksar
rahte ho baat kis se wo aap mein kahan hai
(469) Peoples Rate This