Naqqash Dekh To Main Kya Naqsh-e-yar Khincha
naqqash dekh to main kya naqsh-e-yar khincha
us shoKH kam-numa ka nit intizar khincha
rasm-e-qalamraw-e-ishq mat puchh kuchh ki nahaq
ekon ki khaal khinchi ekon ko dar khincha
tha bad-sharab saqi kitna ki raat mai se
main ne jo hath khincha un ne kaTar khincha
masti mein shakl sari naqqash se khinchi par
aankhon ko dekh us ki aaKHir KHumar khincha
ji khinch rahe hain udhar aalam ka hoga balwa
gar shane tu ne us ki zulfon ka tar khincha
tha shab kise kasae tegh-e-kashida-kaf mein
par main ne bhi baghal baghal be-iKHtiyar khincha
phirta hai 'mir' to jo phaDe hue gareban
kis kis sitam-zade ne daman yar khincha
(425) Peoples Rate This