Nahin Waswas Ji Ganwane Ke
nahin waswas ji ganwane ke
hae re zauq dil lagane ke
mere taghir-e-haal par mat ja
ittifaqat hain zamane ke
dam-e-aKHir hi kya na aana tha
aur bhi waqt the bahane ke
is kudurat ko hum samajhte hain
Dhab hain ye KHak mein milane ke
bas hain do barg-e-gul qafas mein saba
nahin bhuke hum aab-o-dane ke
marne par baiThe hain suno sahab
bande hain apne ji chalane ke
ab gareban kahan ki ai naseh
chaDh gaya hath us diwane ke
chashm-e-najam siphar jhapke hai
sadqe us ankhDiyan laDane ke
dil-o-din hosh-o-sabr sab hi gae
aage aage tumhaare aane ke
kab tu sota tha ghar mare aa kar
jage tala gharib-KHane ke
mizha-e-abru-nigah se is ki 'mir'
kushta hain apne dil lagane ke
tir-o-talwar-o-sail yakja hain
sare asbab mar jaane ke
(438) Peoples Rate This