Na Kisi Se Pas Mere Yar Ka Aana Gaya
na kisi se pas mere yar ka aana gaya
bas gaya main jaan se ab us se ye jaana gaya
kuchh na dekha phir ba-juz yak shola-e-pur-pech-o-tab
shama tak to hum ne dekha tha ki parwana gaya
ek hi chashmak thi fursat sohbat-e-ahbab ki
dida-e-tar sath le majlis se paimana gaya
gul khile sad rang to kya be-pari se a nasim
muddaten guzrin ki wo gulzar ka jaana gaya
dur tujh se 'mir' ne aisa tab khincha ki shoKH
kal jo main dekha use mutlaq na pahchana gaya
(467) Peoples Rate This