Na Gaya KHayal-e-zulf-e-siyah Jafa-shaaran
na gaya KHayal-e-zulf-e-siyah jafa-shaaran
na hua ki subh howe shab-e-tira rozgaran
na kaha tha ai rafugar tere Tanke honge Dhile
na siya gaya ye aaKHir dil-e-chaak-e-be-qararan
hui id sab ne pahne tarab-o-KHushi ke jame
na hua ki hum bhi badlen ye libas-e-sogowaran
KHatar azim mein hain meri aah-o-ashk se sab
ki jahan rah chuka phir jo yahi hai baad-o-baran
kahin KHak-e-ku ko us ki tu saba na dijo jumbish
ki bhare hain is zamin mein jigar jigar-figaran
rakhe taj-e-zar ko sar par chaman zamana mein gil
na shagufta ho tu itna ki KHizan hai ye bahaaran
nahin tujh ko chashm-e-ibrat ye numud mein hai warna
ki gae hain KHak mein mil kai tujh se taj-daran
tu jahan se dil uTha yan nahin rasm-e-dardmandi
kisi ne bhi yun na puchha hue KHak yan hazaran
ye ajal se ji chhupana mera aashkar haiga
ki KHarab hoga mujh bin gham-e-ishq gul-azaran
ye suna tha 'mir' hum ne ki fasana KHwab la hai
teri sar-guzasht sun kar gae aur KHwab yaran
(508) Peoples Rate This