Mustujib-e-zulm-o-sitam-o-jaur-o-jafa Hun
mustujib-e-zulm-o-sitam-o-jaur-o-jafa hun
har-chand ki jalta hun pe sargarm-e-wafa hun
aate hain mujhe KHub se donon hunar-e-ishq
rone ke tain aandhi hun kuDhne ko bala hun
is gulshan-e-duniya mein shagufta na hua main
hun ghuncha-e-afsurda ki mardud-e-saba hun
ham-chashm hai har aabla-e-pa ka mera ashk
az-bas ki teri rah mein aankhon se chala hun
aaya koi bhi tarah mere chin ki hogi
aazurda hun jine se main marne se KHafa hun
daman na jhaTak hath se mere ki sitamgar
hun KHak-e-sar-e-rah koi dam mein hua hun
dil KHwah jala ab to mujhe ai shab-e-hijran
main soKHta bhi muntazir-e-roz-e-jaza hun
go taqat-o-aram-o-KHor-o-KHwab gae sab
bare ye ghanimat hai ki jita to raha hun
itna hi mujhe ilm hai kuchh main hun bahar-chiz
malum nahin KHub mujhe bhi ki main kya hun
behtar hai gharaz KHamushi hi kahne se yaran
mat puchho kuchh ahwal ki mar mar ke jiya hun
tab garm-e-suKHan kahne laga hun main ki ek umr
jun shama sar-e-sham se ta-subh jala hun
sina to kiya fazl-e-ilahi se sabhi chaak
hai waqt-e-dua 'mir' ki ab dil ko laga hun
(490) Peoples Rate This