Mohabbat Ka Jab Rose Bazar Hoga
mohabbat ka jab rose bazar hoga
bikenge sar aur kam KHaridar hoga
tasalli hua sabr se kuchh main tujh bin
kabhi ye qayamat trahdar hoga
saba mu-e-zulf us ka TuTe to Dar hai
ki ek waqt mein ye siyah-mar hoga
mera dant hai tere honTon pe mat puchh
kahunga to laDne ko tayyar hoga
na KHali rahegi meri jagah gar main
na hunga to andoh bisyar hoga
ye mansur ka KHun-e-nahaq ki haq tha
qayamat ko kis kis se KHun-dar hoga
ajab shaiKH-ji ki hai shakl-o-shamail
milega to surat se bezar hoga
na ro ishq mein dasht-gardi ko majnun
abhi kya hua hai bahut KHwar hoga
khinche ahd-e-KHat mein bhi dil teri jaanib
kabhu to qayamat trahdar hoga
zamin-gir ho ijz se tu ki ek din
ye diwar ka saya diwar hoga
na mar kar bhi chhuTega itna rukega
tere dam mein jo giraftar hoga
na puchh apni majlis mein hai 'mir' bhi yan
jo hoga to jaise gunahgar hoga
(457) Peoples Rate This