Moh Mein Sajde Mein Par Naqsh Mera Bar Raha
moh mein sajde mein par naqsh mera bar raha
us aastan pe meri KHak se ghubar raha
junun mein ab ke mujhe apne dil ka gham hai pe haif
KHabar li jab ki na jame mein ek tar raha
bashar hai wo pe khula jab se us ka dam-e-zulf
sar-e-rah us ke farishte hi ka shikar raha
kabhu na aankhon mein aaya wo shoKH KHwab ki tarah
tamam-umr hamein us ka intizar raha
sharab-e-aish mayassar hui jise ek shab
phir us ko roz-e-qayamat talak KHumar raha
butan ke ishq ne be-iKHtiyar kar Dala
wo dil ki jis ka KHudai mein iKHtiyar raha
wo dil ki sham-o-sahar jaise pakka phoDa tha
wo dil ki jis se hamesha jigar-figar raha
tamam-umr gai us pe hath rakhte hamein
wo dardnak alarraghm be-qarar raha
sitam mein gham mein sar-anjam us ka kya kahiye
hazaron hasraten thin tis pe ji ko mar raha
baha to KHun ho aankhon ki rah bah nikla
raha jo sina-e-sozan mein daghdar raha
so us ko hum se faramosh-kariyon le gae
ki us se qatra-e-KHun bhi na yaadgar raha
gali mein us ki gaya so gaya na bola phir
main 'mir' 'mir' kar us ko bahut pukar raha
(474) Peoples Rate This