Misal-e-saya Mohabbat Mein Jal Apna Hun
misal-e-saya mohabbat mein jal apna hun
tumhaare sath giraftar-e-haal apna hun
sarishk-e-surKH ko jata hun jo piye har-dam
lahu ka pyasa alal-ittisal apna hun
agarche nashsha hun sab mein KHum-e-jahan mein lek
ba-rang-e-mai araq-e-infial apna hun
meri numud ne mujh ko kiya barabar KHak
main naqsh-e-pa ki tarah paemal apna hun
hui hai zindagi dushwar mushkil aasan kar
phirun chalun to hun par main wabaal apna hun
tera hai wahm ki ye na-tawan hai jame mein
wagarna main nahin ab ek KHayal apna hun
bala hui hai meri go ka tab-e-raushan 'mir'
hun aaftab wa-lekin zawal apna hun
(463) Peoples Rate This