Mir Dariya Hai Sune Sher Zabani Uski
'mir' dariya hai sune sher zabani us ki
allah allah re tabiat ki rawani us ki
KHatir-e-baadiya se dair mein jawegi kahin
KHak manind bagule ke uDani us ki
ek hai ahd mein apne wo paraganda-mizaj
apni aankhon mein na aaya koi sani us ki
meinh to bauchhaar ka dekha hai baraste tum ne
isi andaz se thi ashk-fishani us ki
baat ki tarz ko dekho to koi jadu tha
par mili KHak mein kya sehr-bayani us ki
kar ke tawiz rakhen us ko bahut bhati hai
wo nazar panw pe wo baat diwani us ki
us ka wo ijz tumhaara ye ghurur-e-KHubi
minnaten un ne bahut kin pa na mani us ki
kuchh likha hai tujhe har barg pe ai rashk-e-bahaar
ruqa waren hain ye auraq-e-KHizani us ki
sarguzisht apni kis andoh se shab kahta tha
so gae tum na suni aah kahani us ki
marsiye dil ke kai kah ke diye logon ko
shahr-e-dilli mein hai sab pas nishani us ki
miyan se nikli hi paDti thi tumhaari talwar
kya ewaz chah ka tha KHasmi-e-jaani us ki
aable ki si tarah Thes lagi phuT bahe
dardmandi mein gai sari jawani us ki
ab gae us ke juz afsos nahin kuchh hasil
haif sad haif ki kuchh qadr na jaani us ki
(816) Peoples Rate This