Mere Sang-e-mazar Par Farhad
mere sang-e-mazar par farhad
rakh ke tesha kahe hai ya ustad
hum se bin marg kya juda ho malal
jaan ke sath hai dil-e-nashad
mund aankhen safar adam ka kar
bas hai dekha na aalam-e-ijad
fikr-e-tamir mein na rah munim
zindagani ki kuchh bhi hai buniyaad
KHak bhi sar pe Dalne ko nahin
kis KHarabe mein hum hue aabaad
sunte ho Tuk suno ki phir mujh baad
na sunoge ye nala o fariyaad
lagti hai kuchh sumum si to nasim
KHak kis diljale ki barbaad
bhula jae hai gham-e-butan mein ji
gharaz aata hai phir KHuda hi yaad
tere qaid-e-qafas ka kya shikwa
nale apne se apne se fariyaad
har taraf hain asir ham-awaz
bagh hai ghar tera to ai sayyaad
hum ko marna ye hai ki kab hon kahin
apni qaid-e-hayat se aazad
aisa wo shoKH hai ki uThte subh
jaana so jae us ki hai mo'tad
nahin surat-pazir naqsh us ka
yun hi tasdiq khinche hai bahzad
KHub hai KHak se buzurgon ki
chahna to mere tain imdad
par murawwat kahan ki hai ai 'mir'
tu hi mujh diljale ko kar irshad
na-muradi ho jis pe parwana
wo jalata phire charagh-e-murad
(725) Peoples Rate This