Main Bhi Duniya Mein Hun Ek Nala-pareshan Yak Ja

main bhi duniya mein hun ek nala-pareshan yak ja

dil ke sau TukDe mere par sabhi nalan yak ja

pand-goyon ne bahut sine ki tadbiren lin

aah sabit bhi na nikla ye gareban yak ja

tera kucha hai sitamgar wo kafir jagah

ki jahan mare gae kitne musalman yak ja

sar se bandha hai kafan ishq mein tere yani

jama hum ne bhi kiya hai sar-o-saman yak ja

kyunke paDte hain tere panw nasim-e-sahari

us ke kuche mein hai sad ganj-e-shahidan yak ja

tu bhi rone ko mila dil hai hamara bhi bhara

hoje ai abr bayaban mein giryan yak ja

baiTh kar 'mir' jahan KHub na roya howe

aisi kuche mein nahin hai tere jaanan yak ja

(426) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Bhi Duniya Mein Hun Ek Nala-pareshan Yak Ja In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Main Bhi Duniya Mein Hun Ek Nala-pareshan Yak Ja is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Main Bhi Duniya Mein Hun Ek Nala-pareshan Yak Ja for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Main Bhi Duniya Mein Hun Ek Nala-pareshan Yak Ja in PDF.