Mausam-e-gul Aaya Hai Yaro Kuchh Meri Tadbir Karo
mausam-e-gul aaya hai yaro kuchh meri tadbir karo
yani saya-e-sarw-o-gul mein ab mujh ko zanjir karo
pesh-e-saayat kya jae hai haq hai meri taraf so hai
main to chup baiTha hun yaksu gar koi taqrir karo
kan laga rahta hai ghair us shoKH kaman abru ke bahut
is to gunah-e-azim pe yaro nak mein us ki tir karo
pher diye hain dil logon ke malik ne kuchh meri taraf
tum bhi Tuk ai aah-o-nala qalbon mein tasir karo
aage hi aazurda hain hum dil hain shikasta hamare sab
harf-e-ranjish bich mein la kar aur na ab dil-gir karo
sher kiye mauzun to aise jin se KHush hain sahib-e-dil
rowen kuDhen jo yaad karen ab aisa tum kuchh 'mir' karo
(415) Peoples Rate This