Mat Ho Maghrur Ai Ki Tujh Mein Zor Hai
mat ho maghrur ai ki tujh mein zor hai
yan sulaiman ke muqabil mor hai
mar gae par bhi hai saulat faqr ki
chashm-e-shir apna charagh-e-gor hai
jab se kaghaz-baad ka hai shauq use
ek aalam us ke upar Dor hai
rahnumai shaiKH se mat chashm rakh
wae wo jis ka asa kash-kor hai
le hi jati hai zar-e-gul ko uDa
subh ki bhi baw-baadi chor hai
dil khinche jate hain sare us taraf
kyunke kahiye haq hamari or hai
tha bala hangama-ara 'mir' bhi
ab talak galiyon mein us ka shor hai
(447) Peoples Rate This