Mar Rahte Jo Gul Bin To Sara Ye KHalal Jata
mar rahte jo gul bin to sara ye KHalal jata
nikla hi na ji warna kanTa sa nikal jata
paida hai ki pinhan thi aatish-nafsi meri
main zabt na karta to sab shahr ye jal jata
main girya-e-KHunin ko roke hi raha warna
ek dam mein zamane ka yan rang badal jata
bin puchhe karam se wo jo baKHsh na deta to
pursish mein hamari hi din hashr ka Dhal jata
istada jahan mein tha maidan-e-mohabbat mein
wan rustam agar aata to dekh ke Tal jata
wo sair ka wadi ke mail na hua warna
aankhon ko ghazalon ki panw tale mal jata
be-tab-o-tawan yun main kahe ko talaf hota
yaquti tere lab ki milti to sambhal jata
us sim-badan ko thi kab tab-e-tab itni
wo chandni mein shab ki hota to pighal jata
mara gaya tab guzra bose se tere lab ke
kya 'mir' bhi laDka tha baaton mein bahal jata
(420) Peoples Rate This