Mar Mar Gae Nazar Kar Uske Barhana Tan Mein
mar mar gae nazar kar us ke barhana tan mein
kapDe utare un ne sar khinche hum kafan mein
gul phul se kab us bin lagti hain apni aankhen
lai bahaar hum ko zor-awari chaman mein
ab lal-e-nau-KHat us ke kam baKHshte hain farhat
quwwat kahan rahe hai yaquti-e-kuhan mein
yusuf aziz-e-dila ja misr mein hua tha
pakiza gauharon ki izzat nahin watan mein
dair o haram se tu to Tuk garm-e-naz nikla
hangama ho raha hai ab shaiKH o barhaman mein
aa jate shahr mein tu jaise ki aandhi aai
kya wahshaten kiya hain hum ne diwanpan mein
hain ghao dil par apne tegh-e-zaban se sab ki
tab dard hai hamare ai 'mir' har suKHan mein
(456) Peoples Rate This