Main Kaun Hun Ai Ham-nafasan SoKHta-jaan Hun
main kaun hun ai ham-nafasan soKHta-jaan hun
ek aag mere dil mein hai jo shoala-fishan hun
laya hai mera shauq mujhe parde se bahar
main warna wahi KHalwati-e-raaz-e-nihan hun
jalwa hai mujhi se lab-e-dariya-e-suKHan par
sad-rang meri mauj hai main tab-e-rawan hun
panja hai mera panja-e-KHurshid main har subh
main shana-sifat saya-e-ru zulf-e-butan hun
dekha hai mujhe jin ne so diwana hai mera
main bais-e-ashuftagi-e-tab-e-jahan hun
taklif na kar aah mujhe jumbish-e-lab ki
main sad suKHan-aghushta-ba-KHun zer-e-zaban hun
hun zard gham-e-taza-nihaalan-e-chaman se
us bagh-e-KHizan-dida mein main barg-e-KHizan hun
rakhti hai mujhe KHwahish-e-dil bas-ki pareshan
darpai na ho is waqt KHuda jaane kahan hun
ek wahm nahin besh meri hasti-e-mauhum
us par bhi teri KHatir-e-nazuk pe garan hun
KHush-bashi-o-tanziya-o-taqaddus the mujhe 'mir'
asbab paDe yun ki kai rose se yan hun
(567) Peoples Rate This