Kya Musibat-zada Dil Mail-e-azar Na Tha
kya musibat-zada dil mail-e-azar na tha
kaun se dard-o-sitam ka ye taraf-dar na tha
aadam-e-KHaki se aalam ko jila hai warna
aaina tha ye wale qabil-e-didar na tha
dhup mein jalti hain ghurbat watanon ki lashen
tere kuche mein magar saya-e-diwar na tha
sad gulistan ta-yak baal the us ke jab tak
tair-e-jaan qafas-e-tan ka giraftar na tha
haif samjha hi na wo qatil nadan warna
be-gunah marne qabil ye gunahgar na tha
ishq ka jazb hua bais-e-sauda warna
yusuf-e-misr zuleKHa ka KHaridar na tha
narm-tar mom se bhi hum ko koi deti qaza
sang chhati ka to ye dil hamein darkar na tha
raat hairan hun kuchh chup hi mujhe lag gai 'mir'
dard pinhan the bahut par lab-e-izhaar na tha
(438) Peoples Rate This