Kya Muafiq Ho Dawa Ishq Ke Bimar Ke Sath
kya muafiq ho dawa ishq ke bimar ke sath
ji hi jate nazar aae hain is aazar ke sath
raat majlis mein teri hum bhi khaDe the chupke
jaise taswir laga de koi diwar ke sath
mar gae par bhi khuli rah gain aankhen apni
kaun is tarah mua hasrat-e-didar ke sath
shauq ka kaam khincha dur ki ab mehr misal
chashm-e-mushtaq lagi jae hai tumar ke sath
rah us shoKH ki aashiq se nahin ruk sakti
jaan jati hai chali KHubi-e-raftar ke sath
we din ab salte hain raaton ko barson guzre
jin dinon der raha karte the hum yar ke sath
zikr-e-gul kya hai saba ab ki KHizan mein hum ne
dil ko na-chaar lagaya hai KHas o KHar ke sath
kis ko har dam hai lahu rone ka hijran mein dimagh
dil ko ek rabt sa hai dida-e-KHun-bar ke sath
meri us shoKH se sohbat hai be-ainihi waisi
jaise ban jae kisu sade ko ayyar ke sath
dekhiye kis ko shahadat se sar-afraaz karen
lag to sab ko hai us shoKH ki talwar ke sath
bekali us ki na zahir thi jo tu ai bulbul
dam-kash-e-'mir' hui us lab o guftar ke sath
(475) Peoples Rate This