Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_4a7cbe66b1ad41b43738803f17e6a44a, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kya Main Bhi Pareshani-e-KHatir Se Qarin Tha - Mir Taqi Mir Poetry In English - Darsaal

Kya Main Bhi Pareshani-e-KHatir Se Qarin Tha

kya main bhi pareshani-e-KHatir se qarin tha

aankhen to kahin thin dil-e-gham-dida kahin tha

kis raat nazar ki hai soi chashmak-e-anjum

aankhon ke tale apne to wo mah-jabin tha

aaya to sahi wo koi dam ke liye lekin

honTon pe mere jab nafas baz-pasin tha

ab koft se hijran ki jahan tan pe rakha hath

jo dard-o-alam tha so kahe tu ki wahin tha

jaana nahin kuchh juz ghazal aa kar ke jahan mein

kal mere tasarruf mein yahi qita-e-zamin tha

nam aaj koi yan nahin leta hai unhon ka

jin logon ke kal mulk ye sab zer-e-nagin tha

masjid mein imam aaj hua aa ke wahan se

kal tak to yahi 'mir' KHarabaat-nashin tha

(572) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kya Main Bhi Pareshani-e-KHatir Se Qarin Tha In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Kya Main Bhi Pareshani-e-KHatir Se Qarin Tha is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Kya Main Bhi Pareshani-e-KHatir Se Qarin Tha for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Kya Main Bhi Pareshani-e-KHatir Se Qarin Tha in PDF.