Kya Kahiye Ki KHuban Ne Ab Hum Mein Hai Kya Rakha
kya kahiye ki KHuban ne ab hum mein hai kya rakha
in chashm-siyahon ne bahuton ko sula rakha
jalwa hai usi ka sab gulshan mein zamane ke
gul phul ko hai un ne parda sa bana rakha
jun barg KHizan-dida sab zard hue hum to
garmi ne hamein dil ki aaKHir ko jala rakha
kahiye jo tamiz us ko kuchh achchhe bure ki ho
dil jis kaso ka paya chaT un ne uDa rakha
thi maslak-e-ulfat ki mashhur KHatarnaki
main dida-o-danista kis rah mein pa rakha
KHurshid-o-qamar pyare rahte hain chhupe koi
ruKHsaron ko go tu ne burqa se chhupa rakha
chashmak hi nahin tazi shewe ye usi ke hain
jhamki si dikha de kar aalam ko laga rakha
lagne ke liye dil ke chhiDka tha namak main ne
sau chhati ke zaKHmon ne kal der maza rakha
kushte ko is abru ke kya mel ho hasti ki
main taq buland upar jine ko uTha rakha
qatai hai dalil ai 'mir' us tegh ki be-abi
rahm un ne mere haq mein mutlaq na rawa rakha
(481) Peoples Rate This