Kya Bulbul Asir Hai Be-baal-o-par Ki Hum
kya bulbul asir hai be-baal-o-par ki hum
gul kab rakhe hai TukDe jigar is qadar ki hum
KHurshid subh nikle hai is nur se ki to
shabnam girah mein rakhti hai ye chashm-e-tar ki hum
jite hain to dikha denge dawa-e-andalib
gul bin KHizan mein ab ke wo rahti hai mar ki hum
ye tegh hai ye tasht hai ye hum hain kushtani
khele hai kaun aisi tarah jaan par ki hum
talwaren tum lagate ho hum hainge dam-ba-KHud
duniya mein ye kare hai koi darguzar ki hum
is justuju mein aur KHarabi to kya kahen
itni nahin hui hai saba dar-ba-dar ki hum
jab ja phansa kahin to hamein yan hui KHabar
rakhta hai kaun dil teri itni KHabar ki hum
jite hain aur rote hain laKHt-e-jigar hai 'mir'
karte suna hai yun koi qima jigar ki hum
(460) Peoples Rate This