Kuchh Karo Fikr Mujh Diwane Ki
kuchh karo fikr mujh diwane ki
dhum hai phir bahaar aane ki
dil ka us kunj-e-lab se de hai nishan
baat lagti to hai Thikane ki
wo jo phirta hai mujh se dur hi dur
hai ye taqrib ji ke jaane ki
tez yun hi na thi shab aatish-e-shauq
thi KHabar garm us ke aane ki
KHizr us KHatt-e-sabz par to mua
dhun hai ab apne zahr khane ki
dil-e-sad-chaak bab-e-zulf hai lek
baw si bandh rahi hai shane ki
kisu kam-zarf ne lagai aah
tujh se mai-KHane ke jalane ki
warna ai shaiKH-e-shahr wajib thi
jam-dari sharab-KHane ki
jo hai so paemal-e-gham hai 'mir'
chaal be-Dol hai zamane ki
(451) Peoples Rate This