KHush Na Aai Tumhaari Chaal Hamein
KHush na aai tumhaari chaal hamein
yun na karna tha paemal hamein
haal kya puchh puchh jate ho
kabhu pate bhi ho bahaal hamein
wo dahan wo kamar hi hai maqsud
aur kuchh ab nahin KHayal hamein
is mah-e-chaardah ki duri ne
das hi din mein kiya hilal hamein
nazar aate hain hote ji ke wabaal
halqa halqa tumhaare baal hamein
tangi is ja ki naqal kiya kariye
yan se wajib hai intiqal hamein
sirf lillah KHam ke KHam karte
na kya charKH ne kalal hamein
mugh-bache mal mast hum darwesh
kaun karta hai musht-mal hamein
kab tak us tangna mein khinchiye ranj
yan se yarab tu hi nikal hamein
tark sabzan-e-shahar kariye ab
bas bahut kar chuke nihaal hamein
wajh kiya hai ki 'mir' munh pe tere
nazar aata hai kuchh malal hamein
(425) Peoples Rate This