Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_9ec92478b49db78776cc5c8218d7a96d, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
KHub-ru Sab Ki Jaan Hote Hain - Mir Taqi Mir Poetry In English - Darsaal

KHub-ru Sab Ki Jaan Hote Hain

KHub-ru sab ki jaan hote hain

aarzu-e-jahan hote hain

gosha-e-diwar tak tu ja nale

us mein gul ko bhi kan hote hain

kabhu aate hain aap mein tujh bin

ghar mein hum mehman hote hain

dasht ke phuTe maqbaron pe na ja

rauze sab gulistan hote hain

harf-e-talKH un ke kya kahun main gharaz

KHub-ru bad-zaban hote hain

ghamza-e-chashm KHush-qadan-e-zamin

fitna-e-asman hote hain

kya raha hai mushaere mein ab

log kuchh jama aan hote hain

'mir'-o-'mirza-rafi' wa 'KHwaja-mir'

kitne ek ye jawan hote hain

(440) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHub-ru Sab Ki Jaan Hote Hain In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. KHub-ru Sab Ki Jaan Hote Hain is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem KHub-ru Sab Ki Jaan Hote Hain for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download KHub-ru Sab Ki Jaan Hote Hain in PDF.