KHubi Ka Uski Bas-ki Talabgar Ho Gaya
KHubi ka us ki bas-ki talabgar ho gaya
gul bagh mein gale ka mere haar ho gaya
kis ko nahin hai shauq tera par na is qadar
main to usi KHayal mein bimar ho gaya
main nau-damida baal chaman-zad-e-tair tha
par ghar se uTh chala so giraftar ho gaya
Thahra gaya na ho ke harif us ki chashm ka
sine ko toD tir-e-nigah par ho gaya
hai us ke harf zer-e-labi ka sabhon mein zikr
kya baat thi ki jis ka ye bistar ho gaya
to wo mataa hai ki paDi jis ki tujh pe aankh
wo ji ko bech kar bhi KHaridar ho gaya
kya kahiye aah-e-ishq mein KHubi nasib ki
dildar apna tha so dil-azar ho gaya
aaThon pahar laga hi phire hai tumhaare sath
kuchh in dinon main ghair bahut yar ho gaya
kab ro hai us se baat ke karne ka mujh ko 'mir'
na-karda jurm mein tu gunahgar ho gaya
(426) Peoples Rate This