Khowen Hain Nind Meri Musibat Bayaniyan
khowen hain nind meri musibat bayaniyan
tum bhi to ek raat suno ye kahaniyan
kya aag de ke taur ko ki tark sar-kashi
us shoale ki wahi hain shararat ki baniyan
sohbat rakha kiya wo safina-o-zalal se
dil hi mein KHun hua kin meri nukta-daniyan
hum se to kine hi ki adaen chali gain
be-lutfiyan yahi yahi na-meharbaniyan
talwar ke tale hi gaya ahd-e-imbisat
mar mar ke hum ne kaTi hain apni jawaniyan
gali siwae mujh se suKHan mat kiya karo
achchhi lage hain mujh ko teri bad-zabaniyan
ghairon hi ke suKHan ki taraf gosh-e-yar the
is harf-e-na-shino ne hamari na maniyan
ye be-qarariyan na kabhu in nai-dekhiyan
jaan-kahiyan hamari bahut sahal jaaniyan
mara mujhe bhi san ke ghairon mein un ne 'mir'
kya KHak mein milain meri jaan-fishaniyan
(465) Peoples Rate This