KHanjar-ba-kaf Wo Jab Se Saffak Ho Gaya Hai
KHanjar-ba-kaf wo jab se saffak ho gaya hai
mulk in sitam-zadon ka sab pak ho gaya hai
jis se use lagaun rukha hi ho mile hai
sine mein jal kar az-bas dil KHak ho gaya hai
kya jaanon lazzat-e-dard us ki jarahaton ki
ye jaanon hun ki sina sab chaak ho gaya hai
sohbat se is jahan ki koi KHalas hoga
is fahisha pe sab ko imsak ho gaya hai
diwar kohna hai ye mat baiTh us ke sae
uTh chal ki aasman to ka wak ho gaya hai
sharm-o-haya kahan ki har baat par hai shamshir
ab to bahut wo hum se bebak ho gaya hai
har harf bas-ki roya hai haal par hamare
qasid ke hath mein KHat namnak ho gaya hai
zer-e-falak bhala to rowe hai aap ko 'mir'
kis kis tarah ka aalam yan KHak ho gaya hai
(440) Peoples Rate This