Kasrat-e-dagh Se Dil Rashk-e-gulistan Na Hua
kasrat-e-dagh se dil rashk-e-gulistan na hua
mera dil KHwah jo kuchh tha wo kabhu yan na hua
ji to aise kai sadqe kiye tujh par lekin
haif ye hai ki tanik tu bhi pasheman na hua
aah mein kab ki ki sarmaya-e-dozaKH na hui
kaun sa ashk mera mamba-e-tufan na hua
go tawajjoh se zamane ki jahan mein mujh ko
jah-o-sarwat ka mayassar sar-o-saman na hua
shukr-sad-shukr ki main zillat-o-KHwari ke sabab
kisi unwan mein ham-chashm-e-azizan na hua
barq mat KHoshe ki aur apni bayan kar sohbat
shukr kar ye ki mera wan dil-e-sozan na hua
dil-e-be-rahm gaya shaiKH liye zer-e-zamin
mar gaya par ye kuhan gabr-musalman na hua
kaun si raat zamane mein gai jis mein 'mir'
sina-e-chaak se main dast-o-gareban na hua
(474) Peoples Rate This