Kash UThin Hum Bhi Gunahgaron Ke Beach
kash uThin hum bhi gunahgaron ke beach
hun jo rahmat ke saza-waron ke beach
ji sada un abruon hi mein raha
ki basar ham-umr talwaron ke beach
chashm ho to aaina-KHana hai dahr
munh nazar aata hai diwaron ke beach
hain anasir ki ye surat-baziyan
shoabde kya kya hain un chaaron ke beach
jab se le nikla hai to ye jins-e-husn
paD gai hai dhum bazaron ke beach
aashiki-o-be-kasi-o-raftagi
ji raha kab aise aazaron ke beach
jo sarishk us mah bin jhumke hai shab
wo chamak kahe ko hai taron ke beach
us ke aatishnak ruKHsaron baghair
loTiye yun kab tak angaron ke beach
baiThna ghairon mein kab hai nang-e-yar
phul gul hote hi hain KHaron ke beach
yaro mat us ka fareb-e-mehr khao
'mir' bhi the us ke hi yaron ke beach
(477) Peoples Rate This