Kash UThen Hum Bhi Gunahgaron Ke Bich

kash uThen hum bhi gunahgaron ke bich

hon jo rahmat ke saza-waron ke bich

ji sada un abruon hi mein raha

ki basar hum umr talwaron ke bich

chashm ho to aaina-KHana hai dahr

munh nazar aata hai diwaron ke bich

hain anasir ki ye surat baziyan

shobade kya kya hain un chaaron ke bich

jab se le nikla hai tu ye jins-e-husn

paD gai hai dhum bazaron ke bich

aashiqi o bekasi o raftagi

ji raha kab aise aazaron ke bich

jo sarishk us mah bin jhamke hai shab

wo chamak kahe ko hai taron ke bich

us ke aatishnak ruKHsaron baghair

loTiye yun kab tak angaron ke bich

baiThna ghairon mein kab hai nang-e-yar

phul gul hote hi hain KHaron ke bich

yaro mat us ka fareb-e-mehr khao

'mir' bhi the us ke hi yaron ke bich

(495) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kash UThen Hum Bhi Gunahgaron Ke Bich In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Kash UThen Hum Bhi Gunahgaron Ke Bich is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Kash UThen Hum Bhi Gunahgaron Ke Bich for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Kash UThen Hum Bhi Gunahgaron Ke Bich in PDF.