Karte Hi Nahin Tark-e-butan Taur-e-jafa Ka

karte hi nahin tark-e-butan taur-e-jafa ka

shayad hamin dikhlawenge didar KHuda ka

hai abr ki chadar shafaqi josh se gul ke

maiKHane ke han dekhiye ye rang hawa ka

bahuteri giro jins-kulalon ke paDi hai

kya zikr hai waiz ke musalla-o-rida ka

mar jaega baaton mein koi gham-zada yun hi

har lahza na ho mumtahin arbab-e-wafa ka

tadbir thi taskin ke liye logon ki warna

malum tha muddat se hamein nafa dawa ka

hath aaina-ruyon se uTha baiThen na kyunkar

bil-aks asar pate the hum apni dua ka

aankh us ki nahin aaine ke samne hoti

hairat-zada hun yar ki main sharm-o-haya ka

barson se tu yun hai ki ghaTa jab umanD aai

tab dida-e-tar se bhi hua ek jhaDaka

aankh us se nahin uThne ki sahab nazron ki

jis KHak pe hoga asar us ki kaf-e-pa ka

talwar ke sae hi mein kaTe hai to ai 'mir'

kis dil-zada ko hue hai ye zauq fana ka

(458) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Karte Hi Nahin Tark-e-butan Taur-e-jafa Ka In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Karte Hi Nahin Tark-e-butan Taur-e-jafa Ka is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Karte Hi Nahin Tark-e-butan Taur-e-jafa Ka for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Karte Hi Nahin Tark-e-butan Taur-e-jafa Ka in PDF.