Kar Nala-kashi Kab Tain Auqat Guzaren
kar nala-kashi kab tain auqat guzaren
fariyaad karen kis se kahan ja ke pukaren
har-dam ka bigaDna to kuchh ab chhuTa hai in se
shayad kisi nakaam ka bhi kaam sanwaren
dil mein jo kabhu josh-e-gham uThta hai to ta-der
aankhon se chali jati hain dariya ki si dhaaren
kya zulm hai us KHuni-e-alam ki gali mein
jab hum gae do-chaar nai dekhen mazaren
jis ja ki KHas-o-KHar ke ab Dher lage hain
yan hum ne unhen aankhon se dekhen hain bahaaren
kyunkar ke rahe sharam meri shahr mein jab aah
namus kahan utren jo dariya pe izaren
we honT ki hai shor-e-masihai ka jin ki
dam lewen na do-chaar ko ta ji se na maren
manzur hai kab se sar-e-shorida ka dena
chaDh jae nazar koi to ye bojh utaren
baalin pe sar ek umr se hai dast-e-talab ka
jo hai so gada kis kane ja hath pasaren
un logon ke to gard na phir sab hain libasi
sau gaz bhi jo ye phaDen to ek gaz bhi na waren
na-chaar ho ruKHsat jo manga bheji to bola
main kya karun jo 'mir'-ji jate hain sudhaaren
(457) Peoples Rate This