Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_76250b2d2a968a1d20b44b6e47500a7b, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kal Chaman Mein Gul-o-saman Dekha - Mir Taqi Mir Poetry In English - Darsaal

Kal Chaman Mein Gul-o-saman Dekha

kal chaman mein gul-o-saman dekha

aaj dekha to bagh ban dekha

kya hai gulshan mein jo qafas mein nahin

aashiqon ka jila-watan dekha

zauq paikan-e-tir mein tere

muddaton tak jigar ne chhin dekha

ghar ke ghar jalte the paDe tere

dagh-e-dil dekhe bas chaman dekha

ek chashmak-e-do-sad sinan-e-mizha

is nukile ka bankpan dekha

shukr zahid ka apni aankhon mein

mai-e-iwaz KHirqa-e-murtahin dekha

hasrat us ki jagah thi KHwabida

'mir' ka khol kar kafan dekha

(466) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kal Chaman Mein Gul-o-saman Dekha In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Kal Chaman Mein Gul-o-saman Dekha is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Kal Chaman Mein Gul-o-saman Dekha for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Kal Chaman Mein Gul-o-saman Dekha in PDF.