Kahte Hain Bahaar Aai Gul Phul Nikalte Hain
kahte hain bahaar aai gul phul nikalte hain
hum kunj-e-qafas mein hain dil sinon mein jalte hain
ab ek si be-hoshi rahti nahin hai hum ko
kuchh dil bhi sambhalte hain par der sambhalte hain
wo to nahin ek chhinTa rone ka hua gahe
ab dida-e-tar aksar dariya se ubalte hain
un panw ko aankhon se hum malte rahe jaisa
afsos se hathon ko ab waisa hi malte hain
kya kahiye ki aaza sab pani hue hain apne
hum aatish-e-hijran mein yun hi paDe galte hain
karte hain sifat jab hum lal-e-lab-e-jaanan ki
tab koi hamein dekhe kya lal ugalte hain
gul phul se bhi apne dil to nahin lagte Tuk
ji logon ke be-jaanan kis taur bahalte hain
hain narm sanam go na kahne ke tain warna
patthar hain unhon ke dil kahe ko pighalte hain
ai garm-e-safar yaran jo hai so sar-e-rah hai
jo rah sako rah jao ab 'mir' bhi chalte hain
(546) Peoples Rate This