Kahin Pahuncho Bhi Mujh Be-pa-o-sar Tak

kahin pahuncho bhi mujh be-pa-o-sar tak

ki pahuncha shama-san dagh ab jigar tak

kuchh apni aankh mein yan ka na aaya

KHazaf se le ke dekha dar-e-tar tak

jise shab aag sa dekha sulagte

use phir KHak hi paya sahar tak

tera munh chand sa dekha hai shayad

ki anjum rahte hain har shab idhar tak

jab aaya aah tab apne hi sar par

gaya ye hath kab us ki kamar tak

hum aawazon ko sair ab ki mubarak

par-o-baal apne bhi aise the par tak

khinchi kya kya KHarabi zer-e-diwar

wale aaya na wo Tak ghar se dar tak

gali tak teri laya tha hamein shauq

kahan taqat ki ab phir jaen ghar tak

yahi dard-e-judai hai jo is shab

to aata hai jigar mizhgan-e-tar tak

dikhai denge hum mayyat ke rangon

agar rah jaenge jite sahar tak

kahan phir shor shewan jab gaya 'mir'

ye hangama hai is hi nauhagar tak

(477) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kahin Pahuncho Bhi Mujh Be-pa-o-sar Tak In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Kahin Pahuncho Bhi Mujh Be-pa-o-sar Tak is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Kahin Pahuncho Bhi Mujh Be-pa-o-sar Tak for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Kahin Pahuncho Bhi Mujh Be-pa-o-sar Tak in PDF.