Kahe Hai Kohkan Kar Fikr Meri KHasta-haali Mein
kahe hai kohkan kar fikr meri KHasta-haali mein
ilahi shukr karta hun teri dargah aali mein
main wo pazhmurda sabza hun ki ho kar KHak se sarzad
yakayak aa gaya us aasman ki paemali mein
tu sach kah rang pan hai ye ki KHun ishq-bazan hai
suKHan rakhte hain kitne shaKHs tere lab ki lali mein
bura kahna bhi mera KHush na aaya us ko to warna
tasalli ye dil-e-nashad hota ek gali mein
mere ustad ko firdaus-e-ala mein mile jaga
paDhaya kuchh na ghair-az-ishq mujh ko KHurd-sali mein
KHarabi ishq se rahti hai dil par aur nahin rahta
nihayat aib hai ye is dayar-e-gham ke wali mein
nigah-e-chashm pur-KHashm-e-butan par mat nazar rakhna
mila hai zahar ai dil is sharab-e-portugali mein
sharab-e-KHun bin taDpun se dil labrez rahta hai
bhare hain sang-reze main nai is mina-e-KHali mein
KHilaf un aur KHuban ke sada ye ji mein rahta hai
yahi to 'mir' ek KHubi hai mashuq-e-KHayali mein
(521) Peoples Rate This