Kab Talak Ji Ruke KHafa Howe

kab talak ji ruke KHafa howe

aah kariye ki Tak hawa howe

ji Thahar jae ya hawa howe

dekhiye hote hote kya howe

kar namak sud sina-e-majruh

ji mein gar hai ki kuchh maza howe

kahish-e-dil ki kijiye tadbir

jaan mein kuchh bhi jo raha howe

chup ka bais hai be-tamannai

kahiye kuchh bhi to muddaa howe

bekali mare Dalti hai nasim

dekhiye ab ke sal kya howe

mar gae hum to mar gae to ji

dil-girafta teri bala howe

ishq kiya hai durust ai naseh

jaane wo jis ka dil-laga howe

phir na shaitan sujud-e-adam se

shayad us parde mein KHuda howe

na suna raat hum ne ek nala

ghaaliban 'mir' mar raha howe

(482) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kab Talak Ji Ruke KHafa Howe In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Kab Talak Ji Ruke KHafa Howe is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Kab Talak Ji Ruke KHafa Howe for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Kab Talak Ji Ruke KHafa Howe in PDF.