Kab Tak Tu Imtihan Mein Mujhse Juda Rahega
kab tak tu imtihan mein mujh se juda rahega
jita hun to tujhi mein ye dil laga rahega
yan hijr aur hum mein bigDi hai kab ki sohbat
zaKHm-e-dil-o-namak mein kab tak maza rahega
tu barson mein mile hai yan fikr ye rahe hai
ji jaega hamara ik-dam ko ya rahega
mere na hone ka to hai iztirab yun hi
aaya hai ji labon par ab kya hai ja rahega
ghafil na rahiyo hargiz nadan dagh-e-dil se
bhaDkega jab ye shoala tab ghar jala rahega
marne pe apne mat ja salik talab mein us ki
go sar ko kho rahega par us ko pa rahega
umr-e-aziz sari dil hi ke gham mein guzri
bimar aashiqi ye kis din bhala rahega
didar ka to wada mahshar mein dekh kar kar
bimar gham mein tere tab tak to kya rahega
kya hai jo uTh gaya hai par basta-e-wafa hai
qaid-e-hayat mein hai tu 'mir' aa rahega
(512) Peoples Rate This