Kab Se Nazar Lagi Thi Darwaza-e-haram Se
kab se nazar lagi thi darwaza-e-haram se
parda uTha to laDiyan aankhen hamari hum se
surat gar ajal ka kya hath tha kahe to
khinchi wo tegh-e-abru faulad ke qalam se
sozish gai na dil ki rone se roz-o-shab ke
jalta hun aur dariya bahte hain chashm-e-nam se
taat ka waqt guzra masti mein aab raz ki
ab chashm-dasht us ke yan hai faqat karam se
kuDhiye na roiye to auqat kyunke guzre
rahta hai mashghala sa bar-e-gham-o-alam se
mashhur hai samajat meri ki tegh barsi
par main na sar uThaya hargiz tere qadam se
baat ehtiyat se kar zaea na kar nafas ko
baalidgi dil hai manind-e-shisha dam se
kya kya tab uThae kya kya azab dekhe
tab dil hua hai utna KHugar tere sitam se
hasti mein hum ne aa kar aasudgi na dekhi
khultin na kash aankhen KHwab KHush adam se
pamal kar ke hum ko pachhtaoge bahut tum
kamyab hain jahan mein sar dene wale hum se
dil do ho 'mir' sahab us bad-maash ko tum
KHatir to jama kar lo Tak qaul se qasam se
(468) Peoples Rate This