Juz Jurm-e-ishq Koi Bhi Sabit Kiya Gunah
juz jurm-e-ishq koi bhi sabit kiya gunah
nahaq hamari jaan li achchhe ho wah wah
ab kaisa chaak chaak ho dil us ke hijr mein
guththawan to laKHt-e-dil se nikalti hai meri aah
sham shab-e-visal hui yan ki is taraf
hone laga tulua hi KHurshid ru-siyah
guzra main us suluk se dekha na kar mujhe
barchhi si lag ja hai jigar mein teri nigah
daman-o-jeb chaak KHarabi-o-KHastagi
un se tere firaq mein hum ne kiya nibah
betabiyon ko saunp na dena kahin mujhe
ai sabr main ne aan ke li hai teri panah
KHun-basta bare rahne lagi ab to ye mizha
aansu ki bund jis se Tapakti thi gah gah
gul se shagufta dagh dikhata hun tere tin
gar muwafaqat kare hai tanik mujh se sal-o-mah
gar mana mujh ko karte hain teri gali se log
kyunkar na jaun mujh ko to marna hai KHwa-maKHwah
nahaq ulajh paDa hai ye mujh se tariq-e-ishq
jata tha 'mir' mein to chala apni rah rah
(449) Peoples Rate This