Jo Dekho Mere Sher-e-tar Ki Taraf
jo dekho mere sher-e-tar ki taraf
to mail na ho phir guhar ki taraf
koi dad-e-dil aah kis se kare
har ek hai so us fitna-gar ki taraf
mohabbat ne shayad ki di dil ko aag
dhuan sa hai kuchh is nagar ki taraf
lagin hain hazaron hi aankhen udhar
ek aashob hai us ke ghar ki taraf
bahut rang milta hai dekho kabhu
hamari taraf se sahar ki taraf
ba-KHud kis ko us tab-e-ruKH ne rakha
kare kaun shams-o-qamar ki taraf
na samjha gaya abr kya dekh kar
hua tha meri chashm-e-tar ki taraf
Tapakta hai palkon se KHun muttasil
nahin dekhte hum jigar ki taraf
munasib nahin haal-e-ashiq se sabr
rakhe hai ye daru zarar ki taraf
kise manzil-e-dilkash-e-dahr mein
nahin mil KHatir safar ki taraf
rag-e-jaan kab aati hai aankhon mein 'mir'
gae hain mizaj us kamar ki taraf
(494) Peoples Rate This