Jite-ji Kucha-e-dildar Se Jaya Na Gaya
jite-ji kucha-e-dildar se jaya na gaya
us ki diwar ka sar se mere saya na gaya
kaw-kawe mizha-e-yar o dil-e-zar-o-nazar
guth gae aise shitabi ki chhuDaya na gaya
wo to kal der talak dekhta idhar ko raha
hum se hi haal-e-tabah apna dikhaya na gaya
garm-rau rah-e-fana ka nahin ho sakta patang
us se to shama-namat sar bhi kaTaya na gaya
pas-e-namus-e-mohabbat tha ki farhad ke pas
be-sutun samne se apne uThaya na gaya
KHak tak kucha-e-dildar ki chhani hum ne
justuju ki pe dil-e-gum-shuda paya na gaya
aatish-e-tez judai mein yakayak us bin
dil jala yun ki tanik ji bhi jalaya na gaya
mah ne aa samne shab yaad dilaya tha use
phir wo ta subh mere ji se bhulaya na gaya
zer-e-shamshir-e-sitam 'mir' taDapna kaisa
sar bhi taslim-e-mohabbat mein hilaya na gaya
ji mein aata hai ki kuchh aur bhi mauzun kije
dard-e-dil ek ghazal mein to sunaya na gaya
(1059) Peoples Rate This