Jis Sar Ko Ghurur Aaj Hai Yan Taj-wari Ka
jis sar ko ghurur aaj hai yan taj-wari ka
kal us pe yahin shor hai phir nauhagari ka
sharminda tere ruKH se hai ruKHsar pari ka
chalta nahin kuchh aage tere kabk-e-dari ka
aafaq ki manzil se gaya kaun salamat
asbab luTa rah mein yan har safari ka
zindan mein bhi shorish na gai apne junun ki
ab sang mudawa hai is aashufta-sari ka
har zaKHm-e-jigar dawar-e-mahshar se hamara
insaf-talab hai teri bedad-gari ka
apni to jahan aankh laDi phir wahin dekho
aaine ko lapka hai pareshan-nazari ka
sad mausam-e-gul hum ko tah-e-baal hi guzre
maqdur na dekha kabhu be-baal-o-pari ka
is rang se jhamke hai palak par ki kahe tu
TukDa hai mera ashk aqiq-e-jigari ka
kal sair kiya hum ne samundar ko bhi ja kar
tha dast-e-nigar panja-e-mizhgan ki tari ka
le sans bhi aahista ki nazuk hai bahut kaam
aafaq ki is kargah-e-shishagari ka
Tuk 'mir' jigar-e-soKHta ki jald KHabar le
kya yar bharosa hai charagh-e-sahari ka
(881) Peoples Rate This