Jin Ke Liye Apne To Yun Jaan Nikalte Hain
jin ke liye apne to yun jaan nikalte hain
is rah mein we jaise anjaan nikalte hain
kya tir-e-sitam us ke sine mein bhi TuTe the
jis zaKHm ko chirun hun paikan nikalte hain
mat sahl hamein jaano phirta hai falak barson
tab KHak ke parde se insan nikalte hain
kis ka hai qimash aisa gudaD bhare hain sare
dekho na jo logon ke diwan nikalte hain
gah lohu Tapakta hai gah laKHt-e-dil aankhon se
ya TukDe jigar hi ke har aan nikalte hain
kariye to gila kis se jaisi thi hamein KHwahish
ab waise hi ye apne arman nikalte hain
jagah se bhi jate ho munh se bhi KHashin ho kar
we harf nahin hain jo shayan nikalte hain
so kahe ko apni tu jogi ki si pheri hai
barson mein kabhu idhar hum aan nikalte hain
un aaina-ruyon ke kya 'mir' bhi aashiq hain
jab ghar se nikalte hain hairan nikalte hain
(436) Peoples Rate This