Ji Mein Hai Yaad RuKH-o-zulf-e-siyah-fam Bahut
ji mein hai yaad ruKH-o-zulf-e-siyah-fam bahut
rona aata hai mujhe har sahar-o-sham bahut
dast-e-sayyaad talak bhi na main pahuncha jita
be-qarari ne liya mujh ko tah-e-dam bahut
ek do chashmak idhar gardish-e-saghar ki mudam
sar chaDhi rahti hai ye gardish-e-ayyam bahut
dil-KHarashi-o-jigar-chaaki-o-KHun-afshani
hun to nakaam pe rahte hain mujhe kaam bahut
rah gaya dekh ke tujh chashm pe ye satar-e-mizha
saqiya yun to paDhe the main KHat-e-jam bahut
phir na aae jo hue KHak mein ja aasuda
ghaaliban zer-e-zamin 'mir' hai aaram bahut
(407) Peoples Rate This